mitate jate hain jo bhi nishan banate hain hum apne pichhe kahan karwan banate hain hum apne hath se apna jahan banate hain sitare gadhte hain aur kahkashan banate hain majal kya jo kisi gul ko chhu le baad-e-sumum hum apne tarz-e-amal se khizan banate hain hamare hath magar be-ghari hi lagti hai zamin banate hain hum aasman banate hain unhen sambhaal ke rakhna hawa na dena tum hamare sher ye chingariyan banate hain yaqin rakkho ye manzar badalne wala hai sharar udne se pahle dhuan banate hain kuen se pyas ka rishta koi naya hai kya banane wale abas dastan banate hain naya banane ki dhun mein pata nahin chalta kahan bigadte hain aur kahan banate hain kisi buzurg ki sohbat mein baithte hain 'talab' bala ki dhup hai ab saeban banate hain