safar ke bab mein shamil hua ek na-safar main bhi bahakti aandhiyan hain aur charagh-e-rahguzar main bhi udhar bhi koi sozish koi sadma shor-asa hai sukut-e-be-hamiyyat se pareshan hun idhar main bhi ajab hai marhala yaro tilism-e-na-rasai ka jo tutega ye sannata to jaunga bikhar main bhi sar-e-mizhgan lahu ki pesh-qadmi rang lai hai ki hun ab halqa-e-dida-waran mein ek khabar main bhi zara dekhun sawal-e-wasl par kya rang ho un ka tere hi sath chalta hun thahar ai nama-bar main bhi tumhaare hi tanaffus se ye subhen sans leti hain tumhaare lams se raushan hain ye shams-o-qamar main bhi yahan har har qadam ibrat-kade hain dida-e-bina hadappa misr babil nainwa ur kashghar main bhi