maza to jab hai gham-e-ishq aashkar na ho jigar pe chot lage aur be-qarar na ho ye dil pasand na kar dekh dagh-dar na ho ise na tod mohabbat ki yaadgar na ho zara sanbhal ke mere haal-e-dil ko suniyega meri zaban kahin shamshir-e-ab-dar na ho hue hain meri taraf se wo bad-guman aise main dil bhi chir ke rakh dun to eatibar na ho khafa na ho to bata dun wo raaz ki baaten kuchh aur yaad dila dun jo nagawar na ho hua hun gum to zamana talash karta hai rahun sharik to mera koi shumar na ho pada hua hai tere dar pe is liye 'ejaz' kahin talash ki zahmat na ho pukar na ho