na de saqi mujhe kuchh gham nahin hai ye kulhad koi jam-e-jam nahin hai wo ru-e-khashmgin kuchh kam nahin hai na ho gar hath mein ballam nahin hai bas ek bahr-e-bani-adam nahin hai jahan mein warna gehun kam nahin hai naqab ulti hai ye kah kar kisi ne ki ab to koi na-mahram nahin hai hazaron chahne wale hain un ke kam un ki aaj kal income nahin hai jasamat kah rahi hai ye kisi ki koi shai aur juz balgham nahin hai mudawa kya ho hirs-e-rahbar ka kahin is zakhm ka marham nahin hai bane to saikdon aain lekin kisi aain mein kuchh dam nahin hai kahan rahbar mein jauhar rahbari ke ki pani hi to hai zamzam nahin hai hamari juraton ki dad deta magar ab kya karen rustam nahin hai adaen kuchh to un mein aaj ki hain magar pura abhi koram nahin hai likha hai bazm-e-ishrat mein jo har-su nawed-e-gham hai wo welcome nahin hai siwae makr-o-kaid o hirs o fitrat mohabbat ka yahan system nahin hai mohabbat mein tasanno ho to samjho wo laundi hai koi begam nahin hai jise samjhi hai sada-lauh duniya hai behad kaiyan budam nahin hai nazar aate hain jo qatre gulon par kisi ki ral hai shabnam nahin hai zamin o aasman larzan hain jis se mere nale hain atom-bomb nahin hai nazar aata nahin wo ru-e-rangin kahin bazar mein shaljam nahin hai kahan aurat nahin hai sar-barahna kahan ab parde ka matam nahin hai fareb-e-hazrat-e-waiz na puchho ibarat saf hai mubham nahin hai chura len jis ko duzdida nigahen ye dil wo dilruba khanam nahin hai