manzil ke us usul ko ruswa nahin kiya

manzil ke us usul ko ruswa nahin kiya
raste se lautne ka irada nahin kiya

dil ko gudaz bhi rakha to ehtiyat se
kar to liya yaqin par itna nahin kiya

hum ko bhi phir umid kuchh aisi nahin rahi
achchha hua jo tu ne bhi wada nahin kiya

faqa-kashi mein yun to kai rahm-dil mile
kae hi hum ne apna kushada nahin kiya

ye bhi to kam nahin hai ki hum ne koi gunah
ek bar ho gaya to dobara nahin kiya

sahra-naward ka hamein ras aa gaya laqab
jab us ne apne nam ko dariya nahin kiya

bachchon muaf karna ki tum khao baith kar
main ne tumhaare waste itna nahin kiya

tu hi bata main kaise karun mutmain tujhe
aisa nahin kiya kabhi waisa nahin kiya

'nayab' tere sar ki qasam is jahan ne
karne ko hum se jo bhi kaha tha nahin kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close