tumhaare husn ki taskhir aam hoti hai ki ek nigah mein duniya tamam hoti hai jahan pe jalwa-e-jaanan hai anjuman-ara wahan nigah ki manzil tamam hoti hai wahi khalish wahi sozish wahi tapish wahi dard hamein sahar bhi ba-andaz-e-sham hoti hai nigah-e-husn mubarak tujhe dar-andazi kabhi kabhi meri mahfil bhi aam hoti hai zahe nasib mein qurban apni qismat ke tere liye meri duniya tamam hoti hai namaz-e-ishq ka hai inhisar ashkon tak ye be-niyaz-e-sujud-o-qayam hoti hai teri nigah ke qurban teri nigah ki tis ye na-tamam hi rah kar tamam hoti hai wahan pe chal mujhe le kar mere samand-e-khayal jahan nigah ki masti haram hoti hai kisi ke zikr se 'bahzad' mubtala ab tak jigar mein ek khalish-e-na-tamam hoti hai