manzilen ek si aawargiyan ek si hain mukhtalif ho ke bhi sab zindagiyan ek si hain koi qasid ho ki naseh koi aashiq ki adu sab ki us shokh se wabastagiyan ek si hain dasht-e-majnun na sahi tesha-e-farhad sahi safar-e-ishq mein wamandgiyan ek si hain ye alag baat ki ehsas juda hon warna rahaten ek si afsurdagiyan ek si hain sufi o rind ke maslak mein sahi lakh tazad mastiyan ek si waraftagiyan ek si hain wasl ho hijr ho qurbat ho ki duri ho 'faraaz' sari kaifiyyaten sab tishnagiyan ek si hain