rah ke parde mein rukh-e-pur-nur ki baaten na kar dur se baaten suna kar dur ki baaten na kar baith kar duniya mein zahid hur ki baaten na kar rah ke itni dur itni dur ki baaten na kar lan-tarani jalwa-e-jaanan teri achchhi nahin main koi musa nahin hun tur ki baaten na kar meri be-hoshi badhi jati hai is tadbir se chaaragar tu dida-e-makhmur ki baaten na kar apna gham mujh ko parae gham se yaad aane laga ham-nashin mujh se dil-e-ranjur ki baaten na kar pas aane ko jo kahta hun to 'muztar' naz se kahte hain chal dur itni dur ki baaten na kar