sabhi gunah dhul gae saza hi aur ho gai mere wajud par teri gawahi aur ho gai rafu-garan-e-shahr bhi kamal log the magar sitara-saz hath mein qaba hi aur ho gai bahut se log sham tak kiwad khol kar rahe faqir-e-shahr ki magar sada hi aur ho gai andhere mein the jab talak zamana saz-gar tha charagh kya jala diya hawa hi aur ho gai bahut sambhal ke chalne wali thi par ab ke bar to wo gul khile ki shokhi-e-saba hi aur ho gai na jaane dushmanon ki kaun baat yaad aa gai labon tak aate aate bad-dua hi aur ho gai ye mere hath ki lakiren khul rahi thin ya ki khud shagun ki raat khushbu-e-hina hi aur ho gai zara si kargason ko aab-o-dana ki jo shah mili uqab se khitab ki ada hi aur ho gai