teri taswir se rahmat barasti hai guru-nanak kare tarif teri kis ki hasti hai guru-nanak hamein ummid hai jati rahegi teri koshish se hamare mulk mein jo tang-dasti hai guru-nanak mitaya naqsh tu ne dahr se baatil parasti ka tere dam se zuhur-e-haq barasti hai guru-nanak mukhalif ko tere kyunkar bulandi-e-maraatib ho baghawat se natija us ka pasti hai guru-nanak kharidari na ho kyunkar tere bazar-e-talqin mein najat-o-maghfirat ki jins sasti hai guru-nanak banaegi muridon ko tere be-khauf mahshar mein sharab-e-nab-e-wahdat se jo masti hai guru-nanak hisab-e-roz-e-mahshar se nahin kuchh 'barq' ko khatra jo teri yaad is ke dil mein basti hai guru-nanak