shab-e-visal hansi aati hai muqaddar par wo hum se ruth ke sone chale hain bistar par wo sakht-jaan hun ki qatil hai jaan se aajiz kabhi gale pe hai khanjar kabhi hai patthar par chalenge kabe ko zamzam pe dho to len zahid bahut sharab ke dhabbe hain daman-e-tar par mariz-e-ishq se tang aa ke chaaragar ne kaha use bulao ye marta hai jis sitamgar par shab-e-firaq dil-e-be-qarar dur rahe tadap sakenge na hum donon ek bistar par