tera munh gardish-e-ayyam kahan tak dekhun ye bhayanak sahar-o-sham kahan tak dekhun jazba-e-ishq ko nakaam kahan tak dekhun sitam-e-gardish-e-ayyam kahan tak dekhun ishq ka shewa-e-khud-kaam kahan tak dekhun ye tilism-e-sahr-o-sham kahan tak dekhun husn ko larza-bar-andam kahan tak dekhun ishq-o-yaksaniyat-e-am kahan tak dekhun o jafa-kesh jafaon se hazar lazim hai tujh ko yun morid-e-ilzam kahan tak dekhun harf aata hai teri shan-e-karam par saqi apne hathon ko tahi-jam kahan tak dekhun be-niyazi pe tujhe naz baja hai lekin lab pe aae na mera nam kahan tak dekhun ek jura to mujhe bhi tere mai-khane ki dur se daur-e-mai-o-jam kahan tak dekhun ab na wo dil hai na wo dil ki umangen baqi aur ab ishq ka anjam kahan tak dekhun be-rukhi aap ki mere dil-e-majbur ka sabr kaun aata hai mere kaam kahan tak dekhun said to said hai sayyaad bhi phans jata hai tu na aaega tah-e-dam kahan tak dekhun ek hi dar pe teri umr kati ai 'sabir' yun mujhe banda-e-be-dam kahan tak dekhun