sharmindagi hai hum ko bahut hum mile tumhein tum sar-ba-sar khushi the magar gham mile tumhein main apne aap mein na mila is ka gham nahin gham to ye hai ki tum bhi bahut kam mile tumhein hai jo hamara ek hisab us hisab se aati hai hum ko sharm ki paiham mile tumhein tum ko jahan-e-shauq-o-tamanna mein kya mila hum bhi mile to darham o barham mile tumhein ab apne taur hi mein nahin tum so kash ki khud mein khud apna taur koi dam mile tumhein is shahr-e-hila-ju mein jo mahram mile mujhe fariyaad jaan-e-jaan wahi mahram mile tumhein deta hun tum ko khushki-e-mizhgan ki main dua matlab ye hai ki daman-e-pur-nam mile tumhein main un mein aaj tak kabhi paya nahin gaya jaanan jo mere shauq ke aalam mile tumhein tum ne hamare dil mein bahut din safar kiya sharminda hain ki us mein bahut kham mile tumhein yun ho ki aur hi koi hawwa mile mujhe ho yun ki aur hi koi aadam mile tumhein