maqam aur bhi aaenge la-makan ke baad zarur honge jahan aur is jahan ke baad shikasta par the mere aur khatm thi parwaz ek aasman tha baqi ek aasman ke baad jo kaamyabi mili wo hamein uburi mili kuchh imtihan the baqi har imtihan ke baad wo jaisa tai tha wahan kuchh bhi to na tha aisa nishan koi nahin tha us ek nishan ke baad zawal aisa ki sare faraaz past hue nasheb-e-wahm bahut tha hadd-e-guman ke baad tawaqqo us ki thi mahdud main bhi chup hi raha safar ke aur bhi tohfe the armughan ke baad wo pahla zina tha manzil jise abas jaana kuchh aagahi ke marahil the aur dhyan ke baad ek us ka tutna goya shikast meri thi chala na tir koi mujh se us kaman ke baad raha wo josh na wo dad hi rahi 'betab' sukut rah gaya phir khatm dastan ke baad