us ke lahje ka wo utar chadhao raat ki narm rau nadi ka bahao us ki aankhon ke wasf kya likkhun jaise khwabon ka be-karan thahrao un nigahon ki guftugu mein hai nind mein gum hawaon ka uljhao us badan ki nazakaten mat puchh shisha-e-gul mein chand ka lahrao nind ki wadiyon mein pichhle pahar ek lai ek naghma ek alao aisi tanhai ka mudawa kya sat dariyaon mein akeli naw un labon ki wo bosa bosa uthan aur palkon ka nashsha nashsha jhukao us gali us dayar ki khush-bu ai subuk-sair narm-gam hawao naujawani mein maut ki khwahish tum hi samjha sako to kuchh samjhao jaane wo ghuncha kis chaman ka hai jis mein gum hai bahaar ka phailao raat kahti hai mujh ko pyar se dekh mujh mein hai chashm-e-yar ka gahrao shola-e-jaan hai bujhne ko 'jawed' aur dil mein dahak raha hai alao