maqam-e-hosh se guzra makan se la-makan pahuncha tumhaare ishq mein diwana-e-manzil kahan pahuncha nazar ki manzilon mein bas tumhin husn-e-mujassam the mata-e-arzu le kar main ulfat mein jahan pahuncha usi ne ishq ban kar do-jahan ko phunk dala hai wo shoala jo teri nazron se dil ke darmiyan pahuncha junun zahir hua rukh par khudi par be-khudi chhai ba-qaid-e-hosh main jab bhi qarib-e-astan pahuncha tum apni justuju mein ye mera shauq-e-talab dekho tumhaare ishq mein lut kar bhi tum tak jaan-e-jaan pahuncha talluq tod kar jaan-e-jahan sare zamane se main pahuncha tha jahan mujh ko teri khatir wahan pahuncha 'fana' wo jalwa-gar hone lage har bazm-e-iman mein mera dil le ke jab mujh ko sar-e-ku-e-butan pahuncha