tumhein jo mere gham-e-dil se aagahi ho jae jigar mein phul khilen aankh shabnami ho jae ajal bhi us ki bulandi ko chhu nahin sakti wo zindagi jise ehsas-e-zindagi ho jae yahi hai dil ki halakat yahi hai ishq ki maut nigah-e-dost pe izhaar-e-bekasi ho jae zamana dost hai kis kis ko yaad rakkhoge khuda kare ki tumhein mujh se dushmani ho jae siyah-khana-e-dil mein hai zulmaton ka hujum charagh-e-shauq jalao ki raushni ho jae tulu-e-subh pe hoti hai aur bhi namnak wo aankh jis ki sitaron se dosti ho jae ajal ki god mein 'qabil' hui hai umr tamam ajab nahin jo meri maut zindagi ho jae