mar bhi jaun to kahan log bhula hi denge lafz mere mere hone ki gawahi denge log tharra gae jis waqt munadi aai aaj paigham naya zill-e-ilahi denge jhonke kuchh aaise thapakte hain gulon ke rukhsar jaise is bar to pat-jhad se bacha hi denge hum wo shab-zad ki suraj ki inayat mein bhi apne bachchon ko faqat kor-nigahi denge aastin sanpon ki pahnenge gale mein mala ahl-e-kufa ko nai shahr-panahi denge shahr ki chabiyan aada ke hawale kar ke tohfatan phir unhen maqtul sipahi denge