umid-o-bim ke mehwar se hat ke dekhte hain zara si der ko duniya se kat ke dekhte hain bikhar chuke hain bahut bagh o dasht o dariya mein ab apne hujra-e-jaan mein simat ke dekhte hain tamam khana-ba-doshon mein mushtarak hai ye baat sab apne apne gharon ko palat ke dekhte hain phir is ke baad jo hona hai ho rahe sar-e-dast bisat-e-afiyat-e-jaan ulat ke dekhte hain wahi hai khwab jise mil ke sab ne dekha tha ab apne apne qabilon mein bat ke dekhte hain suna ye hai ki subuk ho chali hai qimat-e-harf so hum bhi ab qad-o-qamat mein ghat ke dekhte hain