shajar pe sanp hai ya bagh mein shikari hai ye kaisi aaj parindon mein be-qarari hai tumhaare lab pe thin kal inqalab ki baaten tumhaare lab pe to girya hai aah-o-zari hai ajab na tha saf-e-awwal mein hum nazar aate magar ye rah mein hail jo khaksari hai ye marke to siyasat ke shakhsane hain na tu ne jiti hai bazi na main ne haari hai koi guzare to do din mein jaan se guzre jo umr hum ne gham-e-yar mein guzari hai hamare haal pe un ki inayaten kam thin jo dil pe ab ke laga hai wo zakhm kari hai kuchh aise nam hain sher-o-sukhan ki duniya mein ki jin ki dhum haqiqat mein ishtihaari hai