na tanha main hi dam bharta hun teri aashnai ka jahan mein shor hai ai shokh teri dil-rubai ka jabin-e-mehr-o-mah mein kya sabab itni safai ka unhen bhi shaghl hai kya tere dar par jabha-sai ka lahu ki naddiyan ayyam-e-furqat mein bahata hun khayal aata hai jab mujh ko tere dast-e-hinai ka wafa ki ho kisi ko tujh se kya ummid o zalim ki ek aalam hai kushta teri tarz-e-bewafai ka yahi rah rah ke aata hai hamare dil mein ai 'ajiz' hasinon ke daron par kijiye pesha gadai ka