mar kar tere khayal ko tale hue to hain hum jaan de ke dil ko sambhaale hue to hain be-zar ho na jae kahin zindagi se dil tasir se khafa mere nale hue to hain riste hain ab ke sal ki bahte hain dekhiye phir fasl-e-gul mein zakhm-e-dil aale hue to hain arman jo yun nahin to nikalte hain kis tarah yani hamare dil se nikale hue to hain han dard-e-ishq un pe karam ki nazar rahe sabr o qarar tere hawale hue to hain ye sohbaten bhi dekhiye lati hain rang kya mehman khar panw ke chhaale hue to hain kya jaaniye ki hashr ho kya subh-e-hashr ka bedar tere dekhne wale hue to hain 'fani' tere amal hama-tan jabr hi sahi sanche mein ikhtiyar ke dhaale hue to hain