ye aah-e-parda-dar aisi hui adu meri habab ho gai aakhir ko aabru meri na apni khud-gharzi hai na hi shikayat-e-dost hai ishq-o-husn ke mabain guftugu meri koi nikalne na dega zamin ho ki falak zamane-bhar ke muqabil hai aarzu meri qina ke baad main deta nahin kisi ko jawab sifat thi aap ki jo ab hui wo khun meri zaban hile na hile dil hile to kaam chale ye zalzala ho to aa jae guftugu meri bhula diya mujhe tu ne tujhe main kho baitha na main tera hua ai zindagi na tu meri mujhe zamane se shikwa nahin ki behis hai samajhne wale samajhte hain guftugu meri mere karim meri sharm hashr mein rakh le araq ke sath tapakti hai aabru meri ye ek wadi-e-pur-khar-e-ishq thi 'saqib' ulajh ke rah gai har dil mein guftugu meri