tarsa na mujh ko khinch ke talwar mar dal gar mar dalna hai to yak-bar mar dal aashiq jo teri zulf ka ho us ko tu sanam le ja ke tira-shab pas-e-diwar mar dal kubk-e-dari ke lakh qafas hon jahan dhare dikhla ke un ko shokhi-e-raftar mar dal kuchh hum ne tere hath to pakde nahin miyan gar jaanta hai hum ko gunahgar mar dal sayyaad tujh ko kis ne kaha tha ki fasl-e-gul mujh ko qafas mein kar ke giraftar mar dal jo jaan-ba-lab ho hasrat-e-didar mein teri dikhla ke us ko jalwa-e-rukhsar mar dal saudaidan-e-ishq ka jhagda chuka kahin le ja ke un ko barsar-e-bazar mar dal tegh o kamand mang kar abru o zulf se aashiq bahut hue hain jafa-kar mar dal gar ye bhi ho sake na to kahta hai 'mushafi' do chaar kar le qaid mein do-chaar mar dal