mar rahte jo gul bin to sara ye khalal jata nikla hi na ji warna kanta sa nikal jata paida hai ki pinhan thi aatish-nafsi meri main zabt na karta to sab shahr ye jal jata main girya-e-khunin ko roke hi raha warna ek dam mein zamane ka yan rang badal jata bin puchhe karam se wo jo bakhsh na deta to pursish mein hamari hi din hashr ka dhal jata istada jahan mein tha maidan-e-mohabbat mein wan rustam agar aata to dekh ke tal jata wo sair ka wadi ke mail na hua warna aankhon ko ghazalon ki panw tale mal jata be-tab-o-tawan yun main kahe ko talaf hota yaquti tere lab ki milti to sambhal jata us sim-badan ko thi kab tab-e-tab itni wo chandni mein shab ki hota to pighal jata mara gaya tab guzra bose se tere lab ke kya 'mir' bhi ladka tha baaton mein bahal jata