maraz lagta hai jo mujhko use meri dawa samjhe

maraz lagta hai jo mujh ko use meri dawa samjhe
diwana ho gaya hun main diwanon ko wo kya samjhe

main apne aap mein khush hun mujhe is se gharaz kya hai
ki ye mujh ko bhala samjhe ki wo mujh ko bura samjhe

bichhadne ka wo hum se nam tak lene se ghabrae
jise hum hijr kahte hain use wo bad-dua samjhe

gunahon se bacha jae kahan tak is zamane mein
ki har ek mod par milte hain wo jin se khuda samjhe

bharosa kya mohabbat kab tumhein badnam kar jae
ki aashiq ko hamesha hi zamana sar-phira samjhe

hamein wo kis saza ke waste tayyar karta hai
jo apne bhi gunahon ko hamari hi khata samjhe

wo hum se nind ke raste sahi par ru-ba-ru to ho
kabhi to aankhon mein bhar le hamein bhi khwab sa samjhe

hamein 'afrang' zalim se shikayat hai to itni hai
hum us ko to samajhte hain wo hum ko bhi zara samjhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close