mujhe hazar martaba pukar kar chala gaya wo sari umr mera intizar kar chala gaya ujad raha tha thik se ujadne bhi nahin diya wo jaane wala kyon mujhe sanwar kar chala gaya ye kya khayal aa gaya safar se qabl zehn mein jo har taraf ghubar hi ghubar kar chala gaya mera phir aansuon pe ikhtiyar hi nahin raha meri nigah ko wo aabshaar kar chala gaya mujhe nahin qubul thi shikast mere yar ki jahan ko ye laga kya main haar kar chala gaya wo jis ke ashk khinch kar safar se lae the hamein hamare aansuon ko darkinar kar chala gaya