mujh se dil aap ka mukaddar hai aisa jina mujhe bhi dubhar hai kya qalam-kariyan hain qudrat ki ek patti hazar daftar hai hath aae to dil mein rakh lun main kaisa pyara tumhaara khanjar hai apni shah-rag ka khun pilaun ise do mujhe ye tumhaara khanjar hai ye isi ke liye hua paida aap ki tegh hai mera sar hai bhulti hi nahin hai yaad teri raat bhar hai ye shaghl din bhar hai apni hi shakl ke wo aashiq hain bas nazar un ki aaine par hai dekh kar un ko ji gaya aashiq ye hai surat jo ruh-parwar hai hath khali agar hain kya parwa jaan hazir hai dil tawangar hai mar gaya aaj aap ka aashiq ab na wo shor hai na wo shar hai shaeri ka maza gaya 'akbar' ab hujum aafaton ka dil par hai