ruh ko aaj naz hai apna waqar dekh kar us ne chadhain tewriyan mera qarar dekh kar qasd-e-gila na tha magar hashr mein shauq-e-josh se hath mera na ruk saka daman-e-yar dekh kar dekh ke ek bar unhen dil se to hath dho chuke dekhiye kya guzarti hai dusri bar dekh kar aate hain wo to pahle hi ranj se saf ho rahun aa ke kahin palat na jaen dil mein ghubar dekh kar wasl se guzre ai khuda han ye shugun chahiye subh ko hum utha karen ru-e-nigar dekh kar kaba ko ja na 'shauq' abhi niyyat-e-zindagi ba-khair hum bhi chalenge tere sath ab ki bahaar dekh kar