marham-e-waqt na ejaz-e-masihai hai zindagi roz nae zakhm ki gahrai hai phir mere ghar ki fazaon mein hua sannata phir dar-o-baam se andesha-e-goyai hai tujh se bichhdun to koi phul na mahke mujh mein dekh kya karb hai kya zat ki sachchai hai tera mansha tere lahje ki dhanak mein dekha teri aawaz bhi shayad teri angdai hai kuchh ajab gardish-e-parkar safar rakhta hun do-qadam mujh se bhi aage meri ruswai hai kuchh to ye hai ki meri rah juda hai tujh se aur kuchh qarz bhi mujh par teri tanhai hai kis liye mujh se gurezan hai mere samne tu kya teri rah mein hail meri binai hai wo sitare jo chamakte hain tere aangan mein un sitaron se to apni bhi shanasai hai jis ko ek umr ghazal se kiya mansub 'nasir' us ko parkha to khula qafiya-paimai hai