zer-e-lab un ka muskura dena dil mein shahnaiyan baja dena jaane wale ye baat yaad rahe hum ko aasan nahin bhula dena kahin be-asra na kar de hamein is qadar tera aasra dena hum ko rone ki to ijazat do agar aata nahin hansa dena ho ke nakaam na-umid na hon tu mujhe itna hausla dena lakh 'hatim' ho koi lakh karan kaun de sakta hai tera dena sau bahaaron ki hai bahaar 'jigar' un ka rah rah ke muskura dena