marta bhala hai zabt ki taqat agar na ho kitna hi dard-e-dil ho magar chashm-e-tar na ho wo sar hi kya ki jis mein tumhaara na ho khayal wo dil hi kya ki jis mein tumhaara guzar na ho aisi to be-asar nahin betabi-e-firaq nale karun main aur kisi ko khabar na ho mil jao tum to shab ko badha lenge ta-abad mangenge ye dua ki ilahi sahar na ho zulf un ki apne rukh pe pareshan karenge hum dar hai shab-e-visal kahin mukhtasar na ho main hun wo tufta-dil ki hua aaftab par mera guman ki aah ka meri sharar na ho 'shaida' ko tere khauf kisi ka nahin yahan sara jahan ho us ka adu to magar na ho