ru-e-gul chehra-e-mahtab nahin dekhte hain hum teri tarah koi khwab nahin dekhte hain sina-e-mauj pe kashti ko rawan rakhte hain gird apne koi gardab nahin dekhte hain tishnagi mein bhi wo paband-e-qanaat hain ki hum bhul kar bhi taraf-e-ab nahin dekhte hain sar bhi maujud hain shamshir-e-sitam bhi maujud shahr mein khun ka sailab nahin dekhte hain aa gae hain ye mere shahr mein kis shahr ke log guftugu mein adab-adab nahin dekhte hain aana jaana unhin galiyon mein abhi tak hai magar ab wahan majma-e-ahbab nahin dekhte hain kis chaman mein hain ki mausam to gulon ka hai magar ek bhi shakh ko shadab nahin dekhte hain is pe hairan hain kharidar ki qimat hai bahut mere gauhar ki tab-o-tab nahin dekhte hain ho gae sare bala-khez samundar payab ab safina koi gharqab nahin dekhte hain