muntazir aankhon mein jamta khun ka dariya dekhte tum nahin aate to sari umr rasta dekhte wusat-e-kaun-o-makan is regzar-e-dil mein hai aarzu hai tum bhi aa kar dil ka sahra dekhte apne marne ki khabar ek din udate kash hum chahne walon ka apne phir tamasha dekhte sar pe suraj aa gaya phir bhi na kholi hum ne aankh subh uthte bhi to aakhir kis ka chehra dekhte is jahan-e-rang-o-bu mein dekhne ko kya raha tujh ko dekha aur in aankhon se hum kya dekhte tere galon ke muqabil dil mein hasrat rah gai ek din to hum shafaq ka rang gahra dekhte sare chehre dekh dale sari duniya chhan li justuju ab tak yahi hai koi tum sa dekhte sare lamhe yaad aate jo guzare tere sath jangalon mein aag ko jab hum dahakta dekhte kya pata sina jala deti hamara gham ki aag hum jo apni tarah 'azar' us ko tanha dekhte