mehr o mahtab ko mere hi nishan jaanti hai main kahan hun wo mari sarw-e-rawan jaanti hai tum se ho kar hi to aai hai lahu tak mere tum ko ye surkhi-e-jaan shola-rukhan jaanti hai kaun apna hai samajhti hai khamoshi shab ki ajnabi kaun hai aawaz-e-sagan jaanti hai dil ko malum hai kya baat batani hai use us se kya baat chhupani hai zaban jaanti hai khak ko chhod ke jaana hamein manzur nahin hum khas-o-khar nahin ju-e-tapan jaanti hai tu kabhi khwahish-e-duniya nahin karne wala mere abdal tujhe danish-e-jaan jaanti hai mere pas aa ke bhi rahti hai gurezan mujh se main na dubunga meri mauj-e-guman jaanti hai is tarah ghurti rahti hai shab-o-roz mujhe jaise duniya mere sab raaz-e-nihan jaanti hai