nazron mein ab tasawwur-e-jaanan hai aur hum un ki tajalliyat ka 'irfan hai aur hum ab iltifat-e-gardish-e-dauran hai aur hum ya'ni qarib-e-manzil-e-jaanan hai aur hum ai dost tere dard-e-mohabbat ke hum nisar har lamha ek sozish-e-pinhan hai aur hum bite hue dinon ki faqat yaad rah gai mahfuz dil mein sham’-e-farozan hai aur hum hamdam na puchh dil ki tu betabiyon ka haal pahlu mein ek sho'la-e-larzan hai aur hum