mohtaj-e-ajal kyun hai KHud apni qaza ho ja

mohtaj-e-ajal kyun hai khud apni qaza ho ja
ghairat ho to marne se pahle hi fana ho ja

ai shauq-e-talab badh kar majnun-e-ada ho ja
ai himmat-e-mardana raazi-ba-raza ho ja

aaghosh-e-fana mein hum parwarda-e-afat hain
ai fitna-e-dauran uth ai hashr bapa ho ja

zid aur ye zid ai dil achchha to khuda-hafiz
qurban hi us but par hota hai to ja ho ja

us jaan-e-tamanna se be-parda na shikwa kar
wo tujh se khafa hai to jine se khafa ho ja

har qafla-e-dil ko tu muzhda-e-manzil de
har rahguzar-e-gham mein naqsh-e-kaf-e-pa ho ja

ye dard-e-mohabbat bhi kya shai hai maaz-allah
main dard-e-mohabbat se kahta hun siwa ho ja

zalim ka na shikwa kar zulmon ki na parwa kar
tu apni wafaon ki izzat pe fida ho ja

is hasti-e-fani se kar qat-e-nazar 'fani'
tu dost ka talib hai dushman se juda ho ja


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close