samajhta hai wo KHud ko aap ke ruKH ke muqabil ka

samajhta hai wo khud ko aap ke rukh ke muqabil ka
zara insaf se kahiye ye munh hai mah-e-kaamil ka

pata deta hai ye ruk ruk ke chalna tegh-e-qatil ka
ki ab madd-e-nazar rah rah ke tadpana hai bismil ka

muafiq hai ye in rozon hawa gulzar-e-alam ki
dil-e-pur-dagh guldasta hai gul-ruyon ki mahfil ka

abas ai barq tujh ko naz hai apne tadapne par
abhi dekha nahin tu ne tadapna muztarib dil ka

wo kya jaanen ghalat kahte hain khal us ko jo kahte hain
tere rukh par to hai ye aks meri aankh ke til ka

maza aae agar baham-digar haal aashkara ho
mere dil par tere dil ka tere dil par mere dil ka

jakad rakkha hai ai haddad yaad-e-zulf-e-jaanan ne
na rakh ehsan mujh par aur tu tauq-o-salasil ka

na ab jite hi banti hai na ab marte hi banti hai
musibat aa gai mere liye aana mere dil ka

tasawwur mein tumhaare ho gai aakhir shab-e-furqat
khuda ka shukr aasani se guzra waqt mushkil ka

qayamat mein jo hona hai wo hoga fikr kya us ki
abhi to mujh ko rona hai lahad ki pahli manzil ka

mujhe shauq-e-shahadat is qadar hai us ki ulfat mein
ki har ek se pata main puchhta phirta hun qatil ka

hasinan-e-jahan kya hi mite hain meri shokhi par
khilauna dil ke bahlane ko lete hain mere dil ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close