qatl par bandh chuka wo but-e-gumrah miyan dekhen ab kis ki taraf hote hain allah miyan naza mein chashm ko didar se mahrum na rakh warna ta-hashr ye dekhengi teri rah miyan tu jidhar chahe udhar ja ki sahar se ta-sham main bhi sae ki tarah hun tere ham-rah miyan hum teri chah se chahenge use bhi dil se jis ko ji chahe use shauq se tu chah miyan lekin itna hai ki is chah mein dariya hain kai aise aise kai hain jin ki nahin thah miyan aage mukhtar ho tum hum jo tumhein chahe hain is sabab se tumhein hum karte hain aagah miyan jab dam-e-naza na aaya wo sitamgar to 'nazir' mar gaya kah ke ye hasrat-zada ai wah miyan