shayad nasib bosa-e-na'lain-e-yar ho jo khak ho to khak-e-sar-e-rahguzar ho sahra ho sehn-e-bagh ho ya kohsar ho saqi jahan pilae wahin par bahaar ho hum khak ho gae pa kudurat nahin gai yarab kisi ke dil mein na yun bhi ghubar ho ulfat hai ghair ki to suno tum na mera haal rahm aa hi jaega tumhein nafrat hazar ho mayusiyon pe bhi na hua mail-e-sukun aisa bhi dil kisi ka na parwardigar ho sab jaanta hun hazrat-e-naseh pa kya karun dil par karun main jabr agar ikhtiyar ho yun to khabar hai aamad-e-fasl-e-bahaar ki lekin nasib mein bhi to lutf-e-bahaar ho 'bekhud' ki be-khudi bhi hai tere khayal mein teri khudi nahin ki taghaful-shiar ho