masrur dil-e-zar kabhi ho nahin sakta yani tera didar kabhi ho nahin sakta main ghair-e-wafadar kabhi ho nahin sakta is se tumhein inkar kabhi ho nahin sakta ab lutf-o-karam par bhi bharosa nahin us ko achchha tera bimar kabhi ho nahin sakta use shaikh agar khuld ki tarif yahi hai main is ka talabgar kabhi ho nahin sakta aamal ki pursish na kare dawar-e-mahshar majbur to mukhtar kabhi ho nahin sakta mumkin hai farishton se koi sahw hua ho main itna gunahgar kabhi ho nahin sakta aazar-e-mohabbat hai aur aazar hai ai 'josh' jo bais-e-azar kabhi ho nahin sakta