maut ki zad ka khatar har fard ko har ghar mein hai ye bada ek aib ai duniya teri chausar mein hai manzil-e-maqsud par pahunche to pahunche kis tarah dhundne wala umid-o-bim ke chakkar mein hai shaikh se kuchh zid nahin hai barhaman se kad nahin dair o kaba donon ka jauhar mere saghar mein hai fikr-e-imroz o gham-e-farda sarasar be-mahal tu agar ghar mein hai to sab kuchh hamare ghar mein hai dam-ba-khud fitne hain un ki shokhi-e-raftar se ek sannate ka aalam arsa-e-mahshar mein hai meri hi rudad-e-wahshat sun ke fariyaadi hain sab chaak mere hi jigar ka daman-e-mahshar mein hai naqsh-e-ulfat mit gaya to dagh-e-ulfat hain bahut shukr kar ai dil ki tere ghar ki daulat ghar mein hai is se kya matlab ki hai kis kis ke dil mein shauq-e-qatl dekhna ye hai ki dam kitna tere khanjar mein hai silsila aawargi ka fahm se bahar hai 'josh' main bhi chakkar mein hun meri aql bhi chakkar mein hai