mere dil mein gardish-e-waqt ke kai daur aise guzar gae ki jo ubhre naqsh the mit gae jo mite nishan the ubhar gae zara ahd-e-mazi ko jhank lun zara mod ke pichhe bhi dekh lun mera karwan tha wo kya hua mere ham-safar wo kidhar gae wahin yaad aati hain suraten wahi dhundli si muraten wahi dhundta hun main naqsh-e-pa ki jo rahguzar mein bikhar gae hai wahi to hasil-e-zindagi mujhe ab bhi un pe hi naz hai meri zindagi ke wo raat din teri yaad mein jo guzar gae na raha wo pahla sa rabta nahin dil se dil ko wo wasta liya nam tera kisi ne jab kai dagh dil ke ubhar gae mere jam qalb-o-jigar ke the kisi lahza khali na rah sake liya nam tera kisi ne jab kai dagh dil ke ubhar gae mere saz-e-dil zara jag ab mujhe soe ho gain muddaten ye kinara dil ka khamosh hai yahan kab ke tufan utar gae inhin jaan-faza mere naghmon ka ai 'habib' hashr ye kya hua kabhi ghut ke dil mein hi rah gae kabhi lab pe aa ke bikhar gae