mast udte parindon ko aawaz mat do ki dar jaenge aan ki aan mein sare auraq-e-manzar bikhar jaenge sham chandi si ek yaad palkon pe rakh kar chali jaegi aur hum raushni raushni apne andar utar jaenge kaun hain kis jagah hain ki tuta hai jin ke safar ka nasha ek dubi si aawaz aati hai paiham ki ghar jaenge ai sitaro tumhein apni jaanib se shayad na kuchh de saken hum magar raston mein rakhe sab charaghon ko bhar jaenge waqt mein ek jagah si banate hue tera lamhe yahi koi andhi kahani mere dil pe tahrir kar jaenge hum ne samjha tha mausam ki be-rahmiyon ko bhi aisa kahan is tarah barf girti rahegi ki dariya thahar jaenge aaj aaya hai ek umr ki furqaton mein ajab dhyan sa yun faramoshiyan kaam kar jaengi zakhm bhar jaenge