shoala sa koi barq-e-nazar se nahin uthta ab koi dhuan dil ke nagar se nahin uthta wo raunaq-e-kashana-e-dil bujh si gai hai ab shor koi is bhare ghar se nahin uthta kab taqat-e-shorida-sari sar ko jo takraen wo zoaf hai ab sar tere dar se nahin uthta is jumbish-e-mizhgan ka hun sharminda-e-ehsan ye bar-e-garan apni nazar se nahin uthta labbaik kahe naqa-e-laila ko bhala kaun ab qais koi gard-e-safar se nahin uthta tabdil hui aab-o-hawa shahr-e-wafa ki ab dard ka tufan idhar se nahin uthta yun rah-e-talab deti hai aawaz hamein bhi ab panw kisi baat ke dar se nahin uthta diwane ko nind aa gai tariki-e-shab mein soya hai to ab khauf-e-sahar se nahin uthta yaro use dekho kahin 'baqar' to nahin hai pahron jo kisi rahguzar se nahin uthta