pani aankh mein bhar kar laya ja sakta hai ab bhi jalta shahr bachaya ja sakta hai ek mohabbat aur wo bhi nakaam mohabbat lekin is se kaam chalaya ja sakta hai dil par pani pine aati hain ummiden is chashme mein zahr milaya ja sakta hai mujh gumnam se puchhte hain farhad o majnun ishq mein kitna nam kamaya ja sakta hai ye mahtab ye raat ki peshani ka ghaw aisa zakhm to dil par khaya ja sakta hai phata-purana khwab hai mera phir bhi 'tabish' is mein apna-ap chhupaya ja sakta hai