na hum apne na wo apne na dil apna na raaz apna man-o-tu ke jahan mein hai yahi bas imtiyaz apna zaban un ki hai zikr un ka khayal un ka hai yaad un ki na harf-e-naghma apna hai na koi tar-e-saz apna do ek be-rang aansu hain do ek be-rabt baaten hain na rudad apni tulani na afsana daraaz apna nahin malum ki kaun aaega kab aaega lekin dar-e-dida bhi wa hai aur dar-e-dil bhi hai baz apna gham-e-jaan maya-e-rahmat gham-e-jaan daulat-e-taskin yahi kuchh kaenat apni yahi kuchh barg-o-saz apna bi-hamdillah apni chashm-e-tar hai ba-wazu daim bi-hamdillah dil har dam hai masruf-e-namaz apna dil apna saf hai manind-e-mah-e-zau-fishan 'fitrat' ayan hain sab pe aur rakhte nahin hain koi raaz apna