mat ho maghrur ai ki tujh mein zor hai yan sulaiman ke muqabil mor hai mar gae par bhi hai saulat faqr ki chashm-e-shir apna charagh-e-gor hai jab se kaghaz-baad ka hai shauq use ek aalam us ke upar dor hai rahnumai shaikh se mat chashm rakh wae wo jis ka asa kash-kor hai le hi jati hai zar-e-gul ko uda subh ki bhi baw-baadi chor hai dil khinche jate hain sare us taraf kyunke kahiye haq hamari or hai tha bala hangama-ara 'mir' bhi ab talak galiyon mein us ka shor hai