shauq ka rang bujh gaya yaad ke zakhm bhar gae kya meri fasl ho chuki kya mere din guzar gae rah-guzar-e-khayal mein dosh-ba-dosh the jo log waqt ki gard-baad mein jaane kahan bikhar gae sham hai kitni be-tapak shahr hai kitna sahm-nak ham-nafaso! kahan ho tum jaane ye sab kidhar gae! pas-e-hayat ka khayal hum ko bahut bura laga pas ba-hujum-e-marka jaan ke be-sipar gae main to safon ke darmiyan kab se pada hun nim-jaan mere tamam jaan-nisar mere liye to mar gae