sab aag zahiri thi dilon mein lagi na thi

sab aag zahiri thi dilon mein lagi na thi
mujh ko bhi kab junun tha agar wo pari na thi

hasrat malal dard tadap khwab aarzu
ek karwan tha sath mere bas wahi na thi

wo dasht-e-intishaar mein aisa ghazal tha
nafa se jis ke mushk abhi tak udi na thi

phir ye hua ki donon juda ho gae magar
us ko bhi tha malal mujhe bhi khushi na thi

socha to ek abr ka tukda baras gaya
dekha to dur-dur hawa mein nami na thi

duniya to dosti pe raza-mand thi 'ziya'
par kya karen ki khud se meri dushmani na thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close